“Bhoomika Ko Kahana Hai Bhoomiko Bachavo!”
Bhoomika:-[Apne Maa ko awaz dete hue arahi hai]
Mummy, mummy, mummy aray ye mummy kahaan gayi hai, ye dekho nal ko kula hi chod di, kitne pani waste jaa raha hai.
[Bhoomika nal ko bandh karthi hai aur apne aapko bolthe hue, idhar dekho fan bhi chal raha hai, TV ko bhi itne awaz rakh kar ye Mummy kahaan gayi hai?
Chalo jab tak Mummy nahi aathi tabtak School ka kuch kaam karthi hun. Yeh kya kuch jalne ki mehak aarahi hai…[Kitchen ki aur jathi hai fir apne aapko gussa se bolti hai] Hai bhagwan ye Mummy ko kya karoon Gas stove pe dhoodh rakh kar phir se poora dhoodh jaladi hai. Yeh toh Mummy ka roz ka kaam hogaya hai. Heh Bhagwan ye bijli ko abi jaana tha? Mummy, mummy mummyyyyyyy [chillathe hue jaathi hai ]
Pushpa:- [Bhoomikaki Mummy Pushpa bhar se aarahihai]
Bhoomika bete kyun inthna chillathi ho kya hova bhijli gayi tho aajayegi is mein ithana chillathi kyun ho…aarahihoona..
Bhoomikka:- Mummy aap kahaan chaligayi?
Pushpa:- Beta main toh Sharma aunty ki ghar gayi thi…baat karte karte thodi dher hogayi. gfhfgh
Bhoomikka:- Thodi dher! Kya Mummy mein ghar aaye aadha ganta hogaya hai, aapko mein kitne baar bolun! Kahin bhi javo lekin Tap,Fan, TV ,Gas stove yeh sab bandh karke jaya karo kitne waste karti ho bijli aur paani ko.
Pushpa:- Kya karoon beta bhool jathi hoon,vaise bhi is tara ki chotti chotti bath se kya nukshaan hai.. kabi kabi hota hai kaam karte waqt koi bulaya toh aise hi chale jathi hoon.
Bhoomika:- [Bhoomika badi heraan se bolti hai ] Kya nukshaan! Aise chotti chotti baathon se toh hamaari duniya itne bada samasya ka saamna kar rahi hai
Mummy aap ne hi sikaya hai ki bhoondh,bhoondh se hi bana hai sagar.
Pushpa:-Beta woh toh kaavat hai. chalo teek hai ,muhje bathavo
Ki, kaise samasya, kuch honewala hai kya?
Bhoomika: Mummy us samasya ka naam hai “Global Warming “
Pushpa:- Beta ye “Global Warming” kya hota hai?
Bhoomika:- Mummy “Global Warming” ka matlab hamari dharti ka thaapmaan badna hai. Isse bahut saare nukhsaan hoga, jaise baarish ka maatra kam hona. Aur duniya is samasya ka alag-alag tharikon se samna kar rahi hai!
Pushpa:- Achcha!
Bhoomika:-Haan Mummy hum manushya apni ichchavon ki poorti ke liye ped kaat teh hain agar hum aise hi ped kaat teh rahenge toh dhire-dhire hum log aadhivaasiyon ka jeevan viyathith karna padega, aadhivasiyon ko toh phal, sabjiyaan milthi thi hum logon toh woh bhi nahi milegi
Pushpa:- Kyun beta? Kyun nahi milegi ?
Bhoomika:- Mummy jab ped podhe hi nahi bachegi toh phal,sabjiyaan kahaan se milenge! Ab bolo Mummy kya hamara karthavya nahi bantha hai is duniya ko bachane ka!
Pushpa:- Kyun nahi beta jaroor bachayenge, beta ye Global Warming baremein mein meri sahaliyonki jaroor bathavoongi iska bachanekeliye jithna ho sakhtha hai humlog jaroor karenge beta ,lekin kya karoon bhool jathi hoon ghar ke kaam se beta isay sutharnekeliye kuch idea bathavo
Bhoomika:- Mummy agar aap bhool jathi ho tho kal se mein switch board mein likh dhoongi ki agar TV,Fan ka isthmal na ho tho ise bandh kardhen, rahi paaniki baat tho Mummy aap kapde aur barthan ko khule nal mein na dhoyen pehle aap pani ko bhalti mein bhar lein phir dhire-dhire usay pani lekar kapde aur bharthan dho lein! Mummy aap kyun kitchen garden mein fresh pani dhethi ho woh bhi ithna! Poora kiyaari bhar kar pani begathi hai isay math kiya kijiye, jo aap bharthan,kapade dhothe ho use pani ko kitchen garden mein daliyein isay panika bhachath bhi hogi aur agar aapko bheech mein koi bhula bhi lein tho koi chintha nahi
Abh baat Gas ki tho Mummy aap gas stove per jab khana banathe ho gas ko dheemi aanch mein rakein thaki gas ki bachath ho aur khana bhi na jalen aur shvadhisht bhojan bhi banega!Haan Mummy aur ek baat mein dekhthi hoon ki papa aas, paas ki jagha per jane ke liye ghadi ka ishthmal karthen hai papa ko mana kardhijiyega ki aas,paas ki jagha per ghadi se na jayen papa ko kahiye ki aas,paas ki jagha jana tho paidhal jaya Karen isay petrol ki bachath hogi aur papa ki sagadh suvashth rahenge Mummy aap meri ye baat se bore tho nahi huyi?
Pushpa:-Nahi beta, ithni saari jankari muje mili aur hum apne har roz jeevan mein kuch bachath karen usay hamari dharthi ka bhi bala ho, ye tho achchi baat hai na
Bhoomikka:-Mummy kiya aapko patha 27th March ko poori duniya pijli ko ek ganda ke liye bandh kiya jatha hai jissay bijli ka bajath hogi aur Global Warming bhi kuch kum hogi is yojna ko “Earth Hour” yaani Bhoomi ka samay kahathen hai !Chalo aaj se pranan le ki hum is yojna ko apna jeevan mein apnayenge!
Bhoomokka & Pushpa:-Save Electricity! Save Environment! Save Whole the World! Bijli bachayen!Pariyavaran bachayen!
Bhoomi ko bachayen!
KRSHI!
No comments:
Post a Comment