Sunday, November 7, 2010

"Wow Kya Family Hai!"

"Miya Biwi Ka Katta Mitta Pyar"

Pati:-Suno,
Patni:-Sunavo..
Pati:-Tum aaj kal mujhe pyar nahi karthi ho.. Sab sahi kehtein hai ki shaadi ke baat aurat begum ho jaati hai…
Patni:-kya! begum? Haan mein toh begum hoon, Is mein kya shakh hai aapko?
Pati:-Hare mere bhagyawan, mein woh “begum” nahi bola, “ be-gum” yaani ki “koi chintha nahi..kisiki parva nahi”..
Patni:-Achcha mein ek baat bolun?
Pati:-Bolo,
Patni:-Chalo shaadi ke baat aurat toh begum ho jaati, lekin Aadmi toh bajrangbali ho jatha hai na..
Patni:-Kya?Bajrangbali?
Patni:- Yaani ki Bandar, agar mein aap ko Bandhar bolun toh naraz honge isliye bajrangbali boli…woh bhi Mahatma ji ke Bandhar.
Pati:-Achcha mein tumhe bandhar dikta hoon!!!
Patni: Aur kya jab biwi sajdajke aathi hai toh andhe ho jathe ho.. Jab biwi kuch maange behara ho jathe ho.. sab se bada baat toh ye hai ki jab aaplogon ka joot pakada jaaye toh ek dum gunge ho jathe ho.. ek dum chup…

Pati:-Meri doston ne sahi bola.. WIFE is:- Without Information Fighting Everywhere…
Patni; Achcha meri saheliyan bhi boli WIFE is:- With Idiot For Ever..
Pati:-Hare yaar mein toh mazak kiya, tum toh naraz hogayi …
chalo tujhe naulak dilathahoon …
Patni:-hhmm pehle ek anguti toh pehnayiye..sone ke baav aasman choorahi hai naulak dilayenge nau lak …chodo bhi,
Pati:-chalo mein tere maang ko chand sitaron se bardun
Patni:-rehanado …achcha hai bhagwan ne yeh chand sitare itne door banaya, nahi toh aap jaise diwane poora aasman ko kaali kardiye hote…
[Itne mein unki 6 saal ka beta school se chutti hokar aatha hai].

Beta:-Mummy mummy ..
Patni:-Are beta school se aagaya…
Beta:-Haan mummy…mummy,mummy ek bath boliye..
Patni:-Kya beta?
Beta:-mummy ,pappa kehtein hai ki school janese bada aadmi banenge…
Patni:-Haan beta achcha se padh lik kar aap bhi bada aadmi banna ..teek hai?
Beta:Nahi mummy ye nahi ho saktha…
Patni:-kyun beta kya hua?
Beta:-Mummy mere class ki sir toh mujhe roz muruga banatein hai fir kaise mein bada aadmi banoonga??
Patni:-Ho! phir se koi shararat kiya hoga tumne school mein!
Beta:-Nahi mummy mein toh class mein chup chap so raha tha….
Patni:-Haibagavan!
Beta:-Mummy mummy mein cartoon dekhne javoon?
Patni:-Cartoon kya dekna beta, ye haina thumara papa,insey bada cartoon kya hosaktha hai?
Beta:-Nahi mummy pappa ko tho mein roz dekhtha hoon.
Patni:-Haibagvan jaise baap vaise beta...[
[Pati heyraan hokker sar pe haat rakte hoove bait jatein hai]

KRSHI!

"Global Warming"

“Bhoomika Ko Kahana Hai Bhoomiko Bachavo!”


Bhoomika:-[Apne Maa ko awaz dete hue arahi hai]
Mummy, mummy, mummy aray ye mummy kahaan gayi hai, ye dekho nal ko kula hi chod di, kitne pani waste jaa raha hai.
[Bhoomika nal ko bandh karthi hai aur apne aapko bolthe hue, idhar dekho fan bhi chal raha hai, TV ko bhi itne awaz rakh kar ye Mummy kahaan gayi hai?

Chalo jab tak Mummy nahi aathi tabtak School ka kuch kaam karthi hun. Yeh kya kuch jalne ki mehak aarahi hai…[Kitchen ki aur jathi hai fir apne aapko gussa se bolti hai] Hai bhagwan ye Mummy ko kya karoon Gas stove pe dhoodh rakh kar phir se poora dhoodh jaladi hai. Yeh toh Mummy ka roz ka kaam hogaya hai. Heh Bhagwan ye bijli ko abi jaana tha? Mummy, mummy mummyyyyyyy [chillathe hue jaathi hai ]

Pushpa:- [Bhoomikaki Mummy Pushpa bhar se aarahihai]
Bhoomika bete kyun inthna chillathi ho kya hova bhijli gayi tho aajayegi is mein ithana chillathi kyun ho…aarahihoona..

Bhoomikka:- Mummy aap kahaan chaligayi?

Pushpa:- Beta main toh Sharma aunty ki ghar gayi thi…baat karte karte thodi dher hogayi. gfhfgh

Bhoomikka:- Thodi dher! Kya Mummy mein ghar aaye aadha ganta hogaya hai, aapko mein kitne baar bolun! Kahin bhi javo lekin Tap,Fan, TV ,Gas stove yeh sab bandh karke jaya karo kitne waste karti ho bijli aur paani ko.

Pushpa:- Kya karoon beta bhool jathi hoon,vaise bhi is tara ki chotti chotti bath se kya nukshaan hai.. kabi kabi hota hai kaam karte waqt koi bulaya toh aise hi chale jathi hoon.

Bhoomika:- [Bhoomika badi heraan se bolti hai ] Kya nukshaan! Aise chotti chotti baathon se toh hamaari duniya itne bada samasya ka saamna kar rahi hai
Mummy aap ne hi sikaya hai ki bhoondh,bhoondh se hi bana hai sagar.

Pushpa:-Beta woh toh kaavat hai. chalo teek hai ,muhje bathavo
Ki, kaise samasya, kuch honewala hai kya?

Bhoomika: Mummy us samasya ka naam hai “Global Warming “

Pushpa:- Beta ye “Global Warming” kya hota hai?

Bhoomika:- Mummy “Global Warming” ka matlab hamari dharti ka thaapmaan badna hai. Isse bahut saare nukhsaan hoga, jaise baarish ka maatra kam hona. Aur duniya is samasya ka alag-alag tharikon se samna kar rahi hai!

Pushpa:- Achcha!

Bhoomika:-Haan Mummy hum manushya apni ichchavon ki poorti ke liye ped kaat teh hain agar hum aise hi ped kaat teh rahenge toh dhire-dhire hum log aadhivaasiyon ka jeevan viyathith karna padega, aadhivasiyon ko toh phal, sabjiyaan milthi thi hum logon toh woh bhi nahi milegi

Pushpa:- Kyun beta? Kyun nahi milegi ?

Bhoomika:- Mummy jab ped podhe hi nahi bachegi toh phal,sabjiyaan kahaan se milenge! Ab bolo Mummy kya hamara karthavya nahi bantha hai is duniya ko bachane ka!

Pushpa:- Kyun nahi beta jaroor bachayenge, beta ye Global Warming baremein mein meri sahaliyonki jaroor bathavoongi iska bachanekeliye jithna ho sakhtha hai humlog jaroor karenge beta ,lekin kya karoon bhool jathi hoon ghar ke kaam se beta isay sutharnekeliye kuch idea bathavo

Bhoomika:- Mummy agar aap bhool jathi ho tho kal se mein switch board mein likh dhoongi ki agar TV,Fan ka isthmal na ho tho ise bandh kardhen, rahi paaniki baat tho Mummy aap kapde aur barthan ko khule nal mein na dhoyen pehle aap pani ko bhalti mein bhar lein phir dhire-dhire usay pani lekar kapde aur bharthan dho lein! Mummy aap kyun kitchen garden mein fresh pani dhethi ho woh bhi ithna! Poora kiyaari bhar kar pani begathi hai isay math kiya kijiye, jo aap bharthan,kapade dhothe ho use pani ko kitchen garden mein daliyein isay panika bhachath bhi hogi aur agar aapko bheech mein koi bhula bhi lein tho koi chintha nahi

Abh baat Gas ki tho Mummy aap gas stove per jab khana banathe ho gas ko dheemi aanch mein rakein thaki gas ki bachath ho aur khana bhi na jalen aur shvadhisht bhojan bhi banega!Haan Mummy aur ek baat mein dekhthi hoon ki papa aas, paas ki jagha per jane ke liye ghadi ka ishthmal karthen hai papa ko mana kardhijiyega ki aas,paas ki jagha per ghadi se na jayen papa ko kahiye ki aas,paas ki jagha jana tho paidhal jaya Karen isay petrol ki bachath hogi aur papa ki sagadh suvashth rahenge Mummy aap meri ye baat se bore tho nahi huyi?

Pushpa:-Nahi beta, ithni saari jankari muje mili aur hum apne har roz jeevan mein kuch bachath karen usay hamari dharthi ka bhi bala ho, ye tho achchi baat hai na

Bhoomikka:-Mummy kiya aapko patha 27th March ko poori duniya pijli ko ek ganda ke liye bandh kiya jatha hai jissay bijli ka bajath hogi aur Global Warming bhi kuch kum hogi is yojna ko “Earth Hour” yaani Bhoomi ka samay kahathen hai !Chalo aaj se pranan le ki hum is yojna ko apna jeevan mein apnayenge!

Bhoomokka & Pushpa:-Save Electricity! Save Environment! Save Whole the World! Bijli bachayen!Pariyavaran bachayen!
Bhoomi ko bachayen!

KRSHI!

Tuesday, July 27, 2010

"Farewell Kavita!"

“Farewell Kavita”

Vidhayi ka din udhashi karenge!
Jane walon ko bhi dukh hoga!
Milna bichadna duniya ki reet hai,
Na jane ye reet rabh ne banaya kyun?
Aap se bichadneka raheyga gum hamein!
Firbhi kaheythen hain alwida,alwida!
Yaad aap reheinge yaad hum karenge,
Aap bi hamesha hamein yaad rakna,

Bina bedhbav ke ujjwal kiya hunar hamara,
Bin maange mafh kiya nadhaniyaan hamari!
Milna bichadna duniya ki reet hai,
Na jane ye reet rabh ne banaya kyun?
Aap se bichadneka raheyga gum hamein!
Firbhi kaheythen hain alwida,alwida!
Yaad aap reheinge yaad hum karenge,
Aap bi hamesha hamein yaad rakna,

Kahin na kahin tho milenge aap se,
Bhoolna paayeinge aapko hum kabhi!
Sukh mein saathi dukh mein bhi saathi,
Madam hai kum jadha shehali,
Milna bichadna duniya ki reet hai,
Na jane ye reet rabh ne banaya kyun?
Aap se bichadneka raheyga gum hamein!
Firbhi kaheythen hain alwida,alwida!
Yaad aap reheinge yaad hum karenge,
Aap bi hamesha hamein yaad rakna,
KRSHI!

"Farewell Kavita!"

“Farewell Kavita!”

Jane na jane na !
Jathe jathe hi ye bathadena,
Aapki ye mushkhaan
Aapki ye shansheel,
Hum ko bhi sikadena!
Jane na jane na!

Mahafil hai ye tho yaadgar honge,
Isay bhoolneka moka hum kabi na denge!
Jane na jane na!

Sikhsha ki nayi, nayirahein dikhaya,
Jeevan ke harpal badna sikhaya!
Jane na jane na!

Nasheeb ne lika milna_Wahi
Nasheeb ne hi lika bichadna!
Jane na jane na!

Chalenge hum aap ki kadham!
Manjil kya jo aapne dikhaya!
Jane na jane na!

Bhidna tho milaya kyun?
Vish pilana hi tha amrit pilaya kyun?
Jane na jane na!
KRSHI!

"Welcome Song!"

“Welcome Song”
[Song With Dance]


Vandhanake madhur swar mein
Suvagatham sweekaar ho!
Phoolon se komal dilonka ,
Aapko namashkaar ho
La la la la…………… [2Times]

Dho hamein aashsh aisa,
Ho ho ho ho…………..
Dho hamein aashsh aisa,
Piragathi per chalthe rahein!
Sathya pathper chal niranthar,
Aagehi badthen rahein!
Vandhanake madhur swar mein
Suvagatham sweekaar ho!
Phoolon se komal dilonka ,
Aapko namashkaar ho
La la la la……………

Kaam aisa karchalen ki,
Ho ho ho ho………….
Kaam aisa kar chalen ki
Vishva ka sammaan ho!
Vandhanake madhur swar mein
Suvagatham sweekaar ho!
Phoolon se komal dilonka ,
Aapko namashkaar ho
La la la la……………

Aaj phoolonki ye mala,
Ho ho ho ho…………
Aaj phoolonki ye mala,
Pyar se thayyaar ki!
Kudh ki hai ye nishani,
Hum sabhi ki pyaar ki
Vandhanake madhur sur mein
Suvagatham sweekaar ho!
Phoolon se komal dilonka ,
Aapko namashkaar ho
La la la la……………

Reet geethon ki na jane,
Ho ho ho ho………..
Reet kithon kin a jane!
Sirf ye sweekaar ho,
Aasha karthen hain ki ye,
Aaj ka din yaad rahein!
Vandhanake madhur swar mein
Suvagatham sweekaar ho!
Phoolon se komal dilonka ,
Aapko namashkaar ho
La la la la……………
KRSHI!

"Welcome Song"

“Welcome Song”
[SUR=”Hey Maalik Tere Bandhe Hum”]


Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!
Kalyaan kendre mein unnathi aap Karen,
Sahyog hum aapko dhen!
Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!

Is vidhalayko ab savaaren aap, [2Times]
Gowrav is mandhir ka aap badayen!
Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!

Aadhar aapka karenge,Pyar humko dein aap ![2Times]
Isa ristha hamesha rahein!
Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!

Hum raaz banein hamareliye,[2Times]
Kabi saat na aap chodein!
Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!

Yahi rehagi hamari dhuvayein,[2Times]
Aashirvad dein aap haemin!

Aaj kushika din hai kendre mein!
Aapka suvagath karthe hain hum!

KRSHI!

"Welcome Song"

“Welcome Song”
[SUR= “Hum Honge Kaamiyaab”]


Aapka suvagath hai,aapka suvagath!
Suvagath hai aapka kalyaan Kendra mein!
Ho ho mann mein hai vishvash aap denge saath,
Aapka suvagath hai ish din!

Aap guru hai abhi aap guru hai!
Margh dharshan karein!
Ho ho mann mein hai vishvash aap denge saath,
Aapka suvagath hai ish din!

Bhool ho agar kisise bhool ho agar kisise,
Bhool ho agar kar dena aap shama,
Ho ho mann mein hai vishvash aap denge saath,
Aapka suvagath hai ish din!

Hum chalenge saat,saat nethruthv karenge aap!
Hum chalenge saat,saat harpal!
Ho ho mann mein hai vishvash aap denge saath,
Aapka suvagath hai ish din!

KRSHI!