“Naari Ka Athma Katha “
Aisa Kyun?
Ek biwi jab uska pati sharab peeker aatha hai tho sochthi hai ki yeh roz-roz peeker toh nahi aatha !
Jiska pati roz-roz peeker aatha hai tho woh sochthi hai ki chalo maar, peet tho nahi kartha!
Jiska pati maar ,peet kartha hai tho woh sochthi hai ki chalo ghar se tho nahi nikaltha!
Jiska pati ghar ko yaad hi nahi kartha, woh sochthi hai ki mein suhagin tho hoon!
Aisa kyun? Aakir kyun?
Kyun naari ko hi samaaj se ladna padtha hai?
Kyun naari ko hi samjotha karna padtha hai?
Kyun naari ke armaanonko kuchala jatha hai?
Kyun naari ko hi dehaj ki batti mein jokka jaatha?
Aisa kyun? Aakir kyun?
Jin hathon ne hamein jalaya hai ,
Unhi hathon par mallam lagathen hai hum!
Jinho ne hamein dardh diya hai,
Unhi ka hi aashoon pocha hai humne!
Aisa kyun? Aakir kyun?
Jisne jeevan bar gum ki aasoon barsaya hai!
Unhi ki aangan ko kushiyon se bardiya hai humne!
Kudh kaaton bari sej per sothen hai !
Unkeliye phoolon bari sehaj bane hai hum!
Aisa kyun? Aakir kyun?
Seene mein dardh bari hai,
Phir bhi amrit barsatein hai hum!
Har waqt sar jukaye kadi hai,
Iska koi anthim, aakir nahi?
Aisa kyun? Aakir kyun?
Har kyun ka ek hi jawab hai,
Kyunki hum naari hai ,
Kyunki hum naari hai!
Kyunki hum Sehansheel,
Hindustan ki naari hain!
Mrs V Rajalakshmi
&
Mrs Sony Singh.
No comments:
Post a Comment